Kaun Hai Nakli?
Sabko ek word, ek bande ko nahi. Nakli pakdo.
Kaun Hai Nakli, Raja Mantri Chor Sipahi, Tambola, Carrom aur 45 aur games, ek hi app mein. Room banao, WhatsApp pe link bhejo, dost 10 second mein andar.
Dost ke paas app nahi? Link browser mein bhi khulta hai. Abhi browser mein khelo
Room ek baar banao, game jitni baar chaho badlo. Score saath chalta hai.
Sabko ek word, ek bande ko nahi. Nakli pakdo.
Chit uthao. Mantri chor dhoondhe.
Ticket app dega, number app nikalega, claim app check karega.
Ek akshar, 60 second, chaar khaane.
Chaar goti, ek paasa, aur 'kaat diya!' ka shor. Voice ke saath.
Poori shatranj, ghadi ke saath. Jeetne wala rukta hai, baaki mandli dekhti aur chillati hai.
Bina bole movie samjhao. Do team, ek takkar.
Train wala 3-2-5: target poora karo, kam pade toh patte kheenchwao.
App kholo, game chuno, naam daalo. Na email, na OTP.
WhatsApp group mein link daalo, ya saath baithe ho toh QR scan karao.
Jinke paas app hai woh app mein, baaki browser mein. Sab ek hi room mein. Mic on karo aur shuru.
PUBG jaisa voice, par party games ke liye. Game ke andar hi mic aur speaker ka button. Jo bol raha hai uske photo pe hari ring. Recording kuch nahi hoti.
Free online housie caller: 1-90, bolta bhi hai, TV pe bhi chalao.
Sahi housie tickets banao aur print karo, 1 se 120 tak.
Party plan kar rahe ho? Video call, Diwali aur kitty party ke games ki guides
Haan, poora free. Na ads, na coins, na betting. Har game mein sirf points hain, paisa kahin nahi.
Nahi. Room ka link WhatsApp pe bhejo; jinke paas app nahi, unke browser mein wahi link khul jaata hai aur woh usi room mein aa jaate hain.
Kuch nahi. Bas naam aur ek rang chuno. Na email, na phone number.
Ek room mein 50 tak. Har game ki apni ginti hai: Kaun Hai Nakli 3-10, Raja Mantri 4-8, Tambola 2-50. Jo game mein nahi, woh dekhta hai aur agle round mein aata hai.
Free hai aur kuch record nahi hota. Awaaz sirf tumhare room ke logon tak jaati hai, aur mic tab tak band rehta hai jab tak tum khud on na karo.
Free hai. Signup nahi. Dost bina app ke bhi link se join kar sakte hain.